Sunday 1 December 2019

STOCK MARKET - DEMAT ACCOUNT

DEMAT ACCOUNT KAHA OPEN KRWANA  ?

DEMAT ACCOUNT OPEN KRWANE K LIE AAP KISI BHI BROKERING FIRM ME JAA SKTE HAI... YA FIR CALL KR SKTE HAI 09009077009....

DEMAT ACCOUNT FREE OPEN HOTA HAI....BUT KUCH CHARGES LGTE HAI JAISE...


DEMAT ACCOUNT AAP BHI APNE MOBILE SE OPEN KR SKTE HO IS BUTTON PR CLICK KIJIYE...


                                      OPEN DEMAT ACCOUNT




DEMAT ACCOUNT OPEN KRWANE KE LIE DOCUMENTS KONSE - KONSE LGTE HAI...?



* ADHAAR CARD 

*PAN CARD 

* PASSPORT SIZE 

* BANK STATEMENT / CANCELL CHEQUE 

* MOBILE NUMBER (REGISTERED WITH ADHAAR)

* EMAIL ADDRESS

*SIGNATURE 

*MOTHER'S NAME


IN SABHI DOCUMENTS K CLEAR PHOTO WHTSAPP KR KE AAP ACCOUNT OPEN KRWA SKTE HO... WHATSAPP NO. 09009077009 



BROKERAGE CHARGE KYA HOTA HAI ? & KITNA LGTA HAI ??

JB HM NSE (NATIONAL STOCK EXCHANGE) / BSE (BOMBAY STOCK EXCHANGE) SE KOI SHARE BUY YA SELL KRTE HAI TO WO HM DIRECT NAHI KHARID SKTE HAI... USKO HME KISI BROKER K THROUGH HI KHRIDNA PDTA HAI..JO HMARA DEMAT ACCOUNT OPEN KRTA HAI  USKO HM  STOCK BROKER  BOLTE HAI...


STOCK BROKER HMSE KUCH CHARGE LETA HAI ISKE 0.1% SE LEKR 0.03% TK 
{ HMARE TOTAL (BUYING + SELLING) KA 0.1 %- 0.3 % }
JAISE.....

MAAN LO HMNE 1 LAKH KE SHARE BUY KIE HAI.... + 1 LAKH KE SHARE SELL KIE HAI  = TOTAL 2 LAKH KI BUYING + SELLING HO JAYEGI

2 LAKH    ×  0.01  ÷  100 =  20 RS
TOTAL AMOUNT  ×  BROKERAGE  ÷ 100  = BROKERAGE CHARGES

 AUR IS BROKERAG  CHARGES KE BDLE ME FACILITY BHI PROVIDE KRWATE HAI 

JAISE.....


  • HM HMARE MOBILE ME ANDROID APP SE BHI KOI SHARE BUY YA SELL KR SKTE HAI  HAME KAHI JAANE KI JRURT NHI HOTI HAI...


  • AGR KISI K PAAS ANDROID MOBILE NHI HAI  AUR KEYPAID PHONE HAI TO WO CALL  KR K BHI SHARE BUY YA SELL KR APNI TRADING PURI KR SKTA HAI...

  • TRADING KRNE K BAAD JO PROFIT HOTA HAI USKO PAYOUT AASANI SE MOBILE K THROUGH BHI YA CALL KR KE BHI DEMAT ACCOUNT SE SAVING ACCOUNT ME TRANSFER KR SKTE HAI...

  • FREE ME LEVEL'S AANA BUYING AUR SELLING K LIE

  • AUR BHI KISI TARAH KI PRBLM HO CLIENT KO DEMAT K REGARDING TO HMARA  STOCK BROKER  HMARI HELP KRTA HAI....

DEMAT ACCOUNT WALI APPLICATION KESE KAAM KRTI HAI 

YOUTUBE PR STOCK MARKET RELATED SAARE VIDEO DEKHE.....CLICK HERE





  • HMARA BROKER HME  SHARE KHRIDNE K LIE 40 TIMES KI LIMIT BHI DETA HAI.... USKE BAARE ME PART 1 - SHARE MARKET DEKHE...


LIMIT KAISE CALCULATE KRE?




"SEBI" KYA HOTA HAI?

SEBI KA FULL FORM "SECURITY EXCHANGE BOARD OF INDIA" HAI AUR SEBI MAINLY NSE , BSE , BROKERING FIRM , ADVISORY FIRM , ETC IN SABHI PR NAJAR RAKHTI HAI AUR DHYAN RKHTI HAI KE INKE THROUGH KISI KE SATH KOI FRAUD TO NHI HO RHA HAI.... AGR HOTA HAI TO SEBI KO COMPLAIN KR SKTE HAI AUR WO US COMPANY K KHILAF ACTION LETE HAI....


HAMARE DEMAT ACCOUNT ME PAYMENT KAISE ADD KRNA HAI.....




.
.
.

SHARE MARKET KYA HOTA HAI SMJHNE K LIE DEKHE..... PART 1 - SHARE MARKET






Thursday 21 November 2019

SHARE MARKET TRAINING

SHARE MARKET - STOCK MARKET

                  SHARE BAZAAR



SHARE MARKET KYA HAI?


SHARE MARKET Ek aisa market hai jaha hm company ke share kharid aur bech sakte hai (jisko hm trading bhi bolte hai)  aur achha paisa kma skte hai kisi bhi company ke share kharidne ka mtlb hai hm us company ke utne hi hqdaar hai jitne ka share price hai...jaise - jaise company ko profit hoga wese -wese uss company ke share holder ko bhi profit hoga.

jis tarah fruits market me fruits ki trading hoti hai , cloths market me cloths ki trading hoti hai Thik usi tarah SHARE MARKET me shares ki Trading hoti hai.... (Trading means kisi bhi chiz ko kharidna aur Bechna ) 

SHARE'S KI TRADING KAHA SE KARE ?

SHARE'S ki Trading ke lie 2 market hote hai  waha pr hm share ko kharid ya bech skte hai...

  • NSE - NATIONAL STOCK EXCHANGE
  • BSE - BOMBAY STOCK EXCHANGE

Hame in EXCHANGES me jaana nhi pdta hai DEMAT ACCOUNT ke through apne mobile ya computer se bhi hm SHARE kharid ya bech skte hai..

lekin hame SHARES Kharidne ya bechne k lie DEMAT & TRADING ACCOUNT open karwana jruri hota hai...jiske thorough hm apne mobile pr hi TRADING shuru kr skte hai...

SHARE MARKET 3 TYPES KA HOTA HAI 

I) EQUITY MARKET

II) COMMODITY MARKET

III) CURRENCY MARKET


I) EQUITY - Equity market me hm wo chiz kharid skte hai jinko kbi touch nhi kia jaa skta jaise SHARES , BOND , IPO etc....


II) COMMODITY - Commodity market me wo sabhi chiz aati hai jinko touch kia jaa skta hai jaise..... GOLD , SILVER , ALUMINIUM , ZINK , CRUD OIL etc.....


III) CURRENCY - Currency market me sabhi company ki currency k bich deal hoti hai aur CURRENCY market ko FOREX (Forein Exchange) Bhi kaha jata hai...jaise...  INR - Indian rupee , DOLLAR , YEN , POUND , DIRHAM  etc


I) a) EQUITY MARKETEQUITY MARKET BHI 3 TYPES KA HOTA HAI....

  • INTRADAY
  • HOLDING
  • DELIVERY

I) a) i)  INTRADAY - INTRADAY MARKET me hme same day shares ki SELLING aur BUYING complete krna hoti hai....


Maan lo hmne koi share aaj subah market open hote hi 9.15 pr kharida ya kisi bhi tym kharida to usko hame aaj hi sell bhi krna pdega wrna jb market close hoga 3.30 bje to automatic hmari deal cut ho jayegi us time jo bhi rate chl rha hoga us rate pr....


(Deal complete ka  mtlb hai - share kharida hai to bechna jruri hai aur phle becha hai to usko same day kharidna bhi jrui hai) 


 INTRADAY market me hm kisi bhi share ko buy kr ke to bech skte hai but if koi company ka share hame lg rha hai ki share price km hoga to usko hm phle sell bhi kr skte hai.... jisko hm SHORT SELL bhi bolte hai.


SHORT SELLING Q KRTE HAI ??


Maan lo hmne kisi company ka share kharida.... 100 rs me aur uska rate 98 rs ho gya to hmko loss ho jayega 2 rs per share ka.... 


Short selling me hm phle share ko sell krte hai.... fir baad me usko buy krenge  deal complete krne k lie...jaise hmne 100 rs me koi share phle sell kia aur uska rate 98 rs ho gya tb hmko deal complete krne k lie usko kharidna padega.... to hm 98 me usko kharid lenge.. to 98 me kharda aur 100 me becha.... 2 rs per share profit ho jayega... 


compny ka share ka price hmesha km jyada hota rhta hai.... ya to share ka price badega ya fir km hoga...aur shortselling se ek benifit yeh hai ki agr company profit me jaa rhi hai to hm us company ka share BUY kr ke profit kmaa lenge aur company agar loss me jaa rhi hai.. to hm usko sell kr ke bhi paisa bnaa sakte hai....

Mtlb share upr jaye to bhi profit aur niche jaye to bhi... bs alert rhnaa jruri hai.. quki...

hmne kisi share ko kharida aur wo share ka price jyada ho gya to hmko prft ho jayega aur km ho gya to loss ho jayega... same agr hmne kisi share ko phle sell kiya hai ya SHORT SELL kia hsi aur share price km ho gya tb to profit ho jayega but agr price jyada ho gya to hmko loss ho jayega...

LIMIT - INTRADAY MARKET me hamko 40 times tk limit mil jaati hai...

Jaise - 

maan lo ki hmne hmare DEMAT ACCOUNT me 10000/- Rs ka investmennt kia hai ya hm 10000/- Rs se share market me kaam krna chahte hai...

To koi share agr 500 Rs kaa hai to 10000 Rs me hm sirf 20 share hi kharid payege...


[10000 (demat me invest kia)

500 rs (ek share ka rate)
10000 / 500 = 20 share kharid yaa bech sakte hai ]
1 share pr 2 rs ka profit hota hai to 20 share pr total 40 Rs ka hi profit ho payega...

lekin 40 time ki limit ke saath - hm hmare demat me invest kie hue 10000/- ka 40 times jyada ke share kharid skte hai....

Jaise -

[10000 (demat me invest kia)  * 40 times ki limit mili  = 400000 (4 lakhs total amount)

500 rs (ek share ka rate)
400000 / 500 = 800 share kharid yaa bech sakte hai ]
1 share pr 2 rs ka bhi profit hota hai to 800 share pr 1600 Rs ka profit ho jayega....

{ ye 4 lakh ka amount hmko alag se nhi milana hai ye sirf ek limit hoti hai jo hmko jyada share kharidne k lie broker se milti hai jaha hm DEMAT ACCOUNT open krwate hai.... baaki profit and loss sabhi usi amount me se hoga jo hmne hmaare DEMAT ACCOUNT me rkha hua hai hame upr se 1 rs bhi dena nhi padta }

I) a) ii)  HOLDING - HOLDING Me hm kisi bhi share ko 1 mahine ke lie hold kr k rakh skte hai hme same day bechne ki jrurt nahi padti hai....lekin month ke last THRUSDAY ko market bnd hone k time pr 3.30 minute pr automatic deal complete ho jati hai....

HOLDING me LOT me kaam hota hai LOT ka mtlb hota hai  (bunch of shares) jese  koi share 50 lot ka hai to hmko 1 lot kharidna pdega... ye LOT size konse share ki kitni hai ye hmko NSE ki website pr mil jayegi... 

LIMITHOLDING me 10 to 15 times ki limit mil jati hai....

HOLDING MARKET 2 types ka hota hai

  • FUTURE MARKET
  • OPTION MARKET


I) a) iii)  DELIVERY- DELIVERY MARKET me hm SHARES ko LIFE-TIME ke lie Kharid kr rkh skte hai lekin uske lie hame share ka pura paisa dena padtaa hai.. aur  hm jb chahe tb use bech skte hai Same Day bhi, 1 Mahine Baad bhi aur 10 Saal k baad bhi.... 

Isiliye DELIVERY MARKET ko LONG TIME investment bhi kaha jata hai... 

DELIVERY MARKET me hamko limit nahi milti hai. share ka pura MARGIN MONEY pay kr ke hm share kharid skte hai....

Apne News me bhi Suna hoga ki kaise MRF ka share jo 1 Rs me Mil Raha tha wo 65000 RS ka ho gya....long term investment ise hi khte hai...







SUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL - SUBSCRIBE




NEXT  BLOG TOPIC - 

  •  DEMAT ACCOUNT KAISE OPEN KRWANA ? 
  • KAHA PR BEST RAHEGA KM BROKERAGE CHARGES ME ?
  • SEBI KA MATLB KYA HOTA HAI ?


GUYSSSS KUCH GLTI HO TO COMMENT KARE.....!!